Tuesday, August 3, 2010

प्रेरणास्रोत

कभी-कभी एक साधारण सा व्यक्ति अपनी बातों , अपने काम और अपने व्यक्तित्व से दूसरों को इस हद तक प्रभावित कर देता है की अनजाने में ही वो प्रेरणास्रोत बन जाता है !!

Monday, July 12, 2010

" Tamanna "

Na Kisi Mukaam Ki Tammna Ab,
Na Kisi Theekane Ki Talash,
Jo Gham Zindagi Ko Maut De De,
Ek Aise Bahane Ki Talash,
Na Kisi Apne Ki Aarzoo Ab,
Na Kisi Begaane Ki Talash,
Main To Phool Hoon Tanhayion Ka,
Mujhe Bas Virane Ki Talash,
Jahan Door Tak Koi Na Ho,
Jahan Hawa Ka Pata Na Ho,
Mujhe Door Duniya Se Aise Hi,
Aashiyane Ki Talash,
Jo Tod De Dil Se Dhadkane,
Jo Chheen Le Jism Se Jaan Ko,
Jo Sanson Ko Meri Rok De,
Ab Aise Bahane Ki Talash !!
जाने क्यो हमे तुमसे प्यार है,
जाने क्यो तुमे लेकिन इनकार है,
जाने क्यो तडपते है देखने को तुम्हे,
जाने क्यो नही होता तेरा दीदार है,
जाने क्यो दिल देते है हम तुम्ही को,
जाने क्यो दिल तोडते आप बार बार है,
जाने क्यो भटकती हो कश्ती की तरह,
जाने क्यों  तुम्हे साहिल का इन्तेज़ार है,
जाने क्यो यकीन है मुझे वफा पे तेरी,
जाने क्यो नही आपको मुझ पर ऐतबार है.......

Meri Khata

Agar Main Hadd Se Guzar Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena,
Tere Dil Main Utarr Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena..

Yunhi Ghussay Main Aa Kar Daant Dena Tu Aadat Hai Humari,
Agar Main Aisa Kar Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena..

Rastay Main Tujhay Dekh Kar, Teri Deed Ki Khatir,
Pal Bhar Jo Thehar Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena..

Apnay Jazbaat Say Likhi Hui Yeh Shookh Tehreer,
Tere Naam Kar Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena..

Teri Pall Bhar Ki Judai Mujhay Jeenay Nahi Deti,
Tere Bin Jo Mar Jaon Tu Mujhay Muaaf Kar Dena...

Bari Dair Tak........

Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak

Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak

Yahan har taraf hai ajeeb samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa
Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak

Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar
Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak

Na sakoon e jaan na shreek e gham mila is jahan mein chaar su
Teri yaad thi meray saath jo rahi darr b darr bari dair tak

Yahan shehar e dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si rah guzar
Rahey teray baad dhwaan dhwaan meray baam o dar bari dair tak

Aa Ki Meri Jaan Ko Karaar Nahi Hai.

आ, के मेरी जान को करार नहीं है,
ताक़त -ए-बेदाद-इंतज़ार नहीं है.

देतें है जन्नत हयात-ए-दहर के बदले,
नश्शा ब अंदाज़-ए-खुमार नहीं है.

गिरिया निकाले तेरी बज़म से मुझको,
हाय ! के रोने पे इख्तियार नहीं है.

हमसे आबस है गुमान-ए-रंजिस-ए-खातिर,
ख़ाक में उश्शार की गुब्बार नहीं है.

तुने कसम मयकशी की खायी है 'सत्या'
तेरी कसम का कुछ एतबार नहीं है...

dil ka dard

Jis Par Mujhe Zaroorat Se Zayada Gumaan tha
Dil us shkhas ka bahut Be-Imaan tha.

Bikhra hua padha tha ek saya uske paas
Koi Aznabi Nahi wo Mera Armaan tha.

kahkaho'n me Bazm ke dab gai siski meri
Maamooli thi hasti meri bahut chota nishaan tha.

Khush tha jise main phoonk kar mazhabi junoon me
baad me maalom hua wo mera makaan tha

Dosto'n ne nibhaai dosti bhi kis jagah
door zindgai se chaar kadam shamshaan tha

Bhook ka koi 'Deepak'Mazhab kahi'n hota nahi
Qafir ke saath khaa gaya jo musalmaan tha.

My Recent Pic.

Dil ki baat ...

Tum phir duir chale jaoge
kaise kahein kitna humhe tadpaoge

baaton baaton mei teri baat aayege
dil ki baat tumse na kah paayenge

hawa bhee choo ker tujhe mere paas na aayegee
har subah teri yaad humhe tadpaayegee

raat chamkenge sitaare aur ichha bhee machlege
baarish ki boondein bhee tapish na bujhaayege

yeh aankhe har aur kisi apne ko dhoondheinge
ban kar aansoo aankho mei yaadein machelge


dil ko raund kar jo bheer mei kho jaoge
jaane kaise phir tum bhee so paayoge...

Ek Ehsas..

Tum aaye zindagi mein ek haseen ehsas bankar,
Aur dil mein bas gaye dhadkano ki har saans bankar,

Tum hi goonjte ho meri geeton mein awaz bankar,
Tum hi baste ho merin nazmo mein alfaz bankar,

Kash kabhi aajao zindagi mein
mere hamraz bankar...